
Me Madine Chala Me Madine Chala

Phir Karam Hogaya Me Madine Chala
Kaif Sa Chagaya Me Madine Chala
Jhoomta Jhoomta Me Madine Chala
Mere Aqa

Ka Dar Hoga Peshe Nazar
Chahiye Aur Kya Me Madine Chala
Aey Shajar Aey Hajar Tum Bhi Shamso Qamar
Dekho Dekho Zaraa Me Madine Chala
Mere Gande Qadam Aur Unka Haram
Laaj Rakhna Khuda Me Madine Chala
Gumbade Sabz Par Jab Paregi Nazar
Kya Shuroor Ayega Me Madine Chala
Kya Bataaon Mili Dil Ko Kesi Khusi
Jab Ye Muzda Soona Me Madine Chala
Roohe Muztar Thahar Tu Nikal Na Udhar
Itni Jaldi Hai Kya Me Madine Chala