
Dil Main Ishq E Nabi Ki Ho Aisi Lagan
Dil Main Ishq E Nabi Ki Ho Aisi Lagan,
Ruuh Tharapti Rahay Dil Machal Ta Rahay,
Zindagi Ka Maza Hay Kay Har Saans Say,
Ya Muhammad Muhammad Nikal Tha Rahay.
Aakhari Waqt O Sar Un Kay Qadmon Main Ho,
Mayri Aankon May Jalway Muhammad Kay Ho,
Aysay Marnay Ko Kehthay Hay Kaamil Hayaat,
Deed Hoti Rahay Dam Nikal tha Rahay.
Un Kay Dar Kay Ghulaamon Ki Kya Shaan Hay,
Deen O Dunya Kay Daulat Kay Sultaan Hay,
Iss Say Bhar Kar Koee Aur Naymath Nahee,
Un Kay Dar Kay Jo Tukro Say Paltha Rahay,
Zindagi Ka Maza Hay Kay Har Saans Say,
Ya Muhammad Muhammad Nikal Tha Rahay.
Yaa Muhammad Muhammad Main Kehtaa Rahaa,
Nuur Kay Motiyon Ki Larhi Ban Gaee,
Aayaton Say Milaata Rahaa Aayatain,
Phir Jo Daikhaa Tho Naat E Nabi Ban Gaee.
Jo Be Aansuu Bahay Mayray Mehboob Kay,
Sab Kay Sab Abr-e-Rahmat Kay Cheentay Banay,
Chaa Gaee Raat E Jab Zulfa Lehra Gaee,
Jab Tabassum Kiyaa Chaandani Ban Gaee
Yay Tho Maana Kay Jannat Hay Baaghay Haseen,
Khoobsurat Hay Sab Khuld E Ki Sar Zameen,
Husn-e-Jannat Ko Phir Jab Samayt Aa Gaya,
Sarwar E Ambiyaa Ki Galee Ban Gaee.
Jab Cheeraa Tazkiraah Un Kay Rukhsaar Ka,
Wadduhaa Par Liyay Wal Qamar Kehdiya,
Suraton Ki Tilaawat Be Hoti Rahee,
Naat-E-Be Ho Gaee Baat-E-Be Ban Gaee.
Sab Say Saaim Zamaanay Main Maazoor Tha,
Sab Say Baykass Thaa Baybass Thaa Majboor Tha,
Un Ko Rehm Aa Gaya, Mayray Haalaat Par,
Mayri Azmat Mayrii Bay Basii Ban Gaee.
Dil Main Ishq E Nabi Ki Ho Aisi Lagan,
Ruuh Tharapti Rahay Dil Machal Ta Rahay,
Zindagi Ka Maza Hay Kay Har Saans Say,
Ya Muhammad Muhammad Nikal Tha Rahay.
